main to KHuda-parast tha aisa na ho saka
maiñ to ḳhudā-parast thā aisā na ho sakā
mujh se amīr-e-shahr kā sajda na ho sakā
us ne bhī mujh ko Tuut ke chāhā nahīñ kabhī
mujh se bhī 'ishq had se ziyāda na ho sakā
maiñ ne tire firāq meñ likkhe the jo ḳhutūt
un meñ se ek ḳhat kā bhī ijrā na ho sakā
ab to yaqīn ho gayā jā.egā qabr tak
is dard-e-dil kā koī mudāvā na ho sakā
nas kāTnā ki phāñsī ke phande pe jhūlnā
ham se to hijr meñ ye tamāsha na ho sakā
ham ne ġhazal kahī hai 'asar' jis ke vāste
us kā ġhazal meñ koī bhī charchā na ho sakā
main to KHuda-parast tha aisa na ho saka
mujh se amir-e-shahr ka sajda na ho saka
us ne bhi mujh ko Tut ke chaha nahin kabhi
mujh se bhi 'ishq had se ziyaada na ho saka
main ne tere firaq mein likkhe the jo KHutut
un mein se ek KHat ka bhi ijra na ho saka
ab to yaqin ho gaya jaega qabr tak
is dard-e-dil ka koi mudawa na ho saka
nas kaTna ki phansi ke phande pe jhulna
hum se to hijr mein ye tamasha na ho saka
hum ne ghazal kahi hai 'asar' jis ke waste
us ka ghazal mein koi bhi charcha na ho saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.