main to samjha tha ki bas dast-e-dua samne hai
maiñ to samjhā thā ki bas dast-e-duā sāmne hai
ġhaur se dekhā to dekhā ki ḳhudā sāmne hai
ek din bas yūñhī nazroñ se girā dī duniyā
ek din bas yūñhī sochā ki ye kyā sāmne hai
arsh ke zaḳhm ko bharte nahīñ dekhā ab tak
maiñ to jab se huuñ zamīñ par ye ḳhalā sāmne hai
ḳhaak aur ḳhuun mirā is liye raushan hai 'farīd'
mere pīchhe hai duā aur diyā sāmne hai
main to samjha tha ki bas dast-e-dua samne hai
ghaur se dekha to dekha ki KHuda samne hai
ek din bas yunhi nazron se gira di duniya
ek din bas yunhi socha ki ye kya samne hai
arsh ke zaKHm ko bharte nahin dekha ab tak
main to jab se hun zamin par ye KHala samne hai
KHak aur KHun mera is liye raushan hai 'farid'
mere pichhe hai dua aur diya samne hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.