main to samjha tha ki hai us se shanasai bahut
main to samjha tha ki hai us se shanasai bahut
Ustad Vajahat Husain Khan
MORE BYUstad Vajahat Husain Khan
maiñ to samjhā thā ki hai us se shanāsā.ī bahut
us se mil kar huī lekin mirī rusvā.ī bahut
sab se ahmaq hai vo nādān bhī dīvāna bhī
jis ko lagtā hai ki rakhtā hai vo dānā.ī bahut
haañ bure vaqt meñ dete haiñ vo dhoka ik din
ham dil-o-jāñ se kareñ jin kī pazīrā.ī bahut
ik qadam bhī na haTā apnī ravish se maiñ kabhī
aur sab karte rahe bādiya-paimā.ī bahut
qaul aur fe'l meñ dekhā hai tazād un ke bhī
jin kī duniyā meñ hai mash.hūr masīhā.ī bahut
ab to aa jā ki tire bin huā jiinā mushkil
dil ko bechain kiyā kartī hai tanhā.ī bahut
'izzat-e-nafs baḌhāne meñ lagā thā 'dā.em'
tujh se milne pe milī hai mujhe rusvā.ī bahut
main to samjha tha ki hai us se shanasai bahut
us se mil kar hui lekin meri ruswai bahut
sab se ahmaq hai wo nadan bhi diwana bhi
jis ko lagta hai ki rakhta hai wo danai bahut
han bure waqt mein dete hain wo dhoka ek din
hum dil-o-jaan se karen jin ki pazirai bahut
ek qadam bhi na haTa apni rawish se main kabhi
aur sab karte rahe baadiya-paimai bahut
qaul aur fe'l mein dekha hai tazad un ke bhi
jin ki duniya mein hai mashhur masihai bahut
ab to aa ja ki tere bin hua jina mushkil
dil ko bechain kiya karti hai tanhai bahut
'izzat-e-nafs baDhane mein laga tha 'daem'
tujh se milne pe mili hai mujhe ruswai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.