main to zahr-e-gham bhi pi kar ji liya
main to zahr-e-gham bhi pi kar ji liya
Sultan-ul-Hasan Farooqi
MORE BYSultan-ul-Hasan Farooqi
maiñ to zahr-e-ġham bhī pī kar jī liyā
dahr meñ suqrāt kā charchā huā
jaan de kar un ko paayā hai magar
phir bhī ye saudā bahut sastā huā
boltī āñkheñ tabassum zer-e-lab
chehra-e-gulfām sharmāyā huā
husn ne chupke se unvāñ likh diyā
ishq kā mash.hūr afsāna huā
ābrū-e-husn āñkheñ ḳhushk haiñ
abr-e-ġham bhī hai magar barsā huā
mast-o-shādāñ mutma.in ġhurbat meñ hai
jaise daldal meñ kañval hañstā huā
mil ke jī 'sultān' se ḳhush ho gayā
aadmī ma.aqūl hai suljhā huā
main to zahr-e-gham bhi pi kar ji liya
dahr mein suqraat ka charcha hua
jaan de kar un ko paya hai magar
phir bhi ye sauda bahut sasta hua
bolti aankhen tabassum zer-e-lab
chehra-e-gulfam sharmaya hua
husn ne chupke se unwan likh diya
ishq ka mashhur afsana hua
aabru-e-husn aankhen KHushk hain
abr-e-gham bhi hai magar barsa hua
mast-o-shadan mutmain ghurbat mein hai
jaise daldal mein kanwal hansta hua
mil ke ji 'sultan' se KHush ho gaya
aadmi maqul hai suljha hua
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 339)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.