main toDun ahd-o-paiman-e-wafa ye ho nahin sakta
maiñ toḌūñ ahd-o-paimān-e-vafā ye ho nahīñ saktā
vo hote haiñ to ho jaa.eñ judā ye ho nahīñ saktā
pilā saaqī ki shaġhl-e-mai-kashī kā vaqt jaatā hai
yūñhī chhā.ī rahe kaalī ghaTā ye ho nahīñ saktā
vo chashm-e-surmagīñ jab tak masīhā.ī na farmā.e
marīz-e-ġham ko ho jaa.e shifā ye ho nahīñ saktā
na dekhe shaiḳh tū jab tak butoñ ko merī āñkhoñ se
nazar aa.e tujhe shān-e-ḳhudā ye ho nahīñ saktā
vo baaz aa.eñ jafā-o-jaur se ye ġhair-mumkin hai
maiñ chhoḌūñ ḳhū-e-taslīm-o-razā ye ho nahīñ saktā
nadāmat ho mujhe apnī jafā par ye to mumkin hai
tirā dil ho pashīmān-e-jafā ye ho nahīñ saktā
pasandīda na ho 'sīmāb' kyuuñ tarz-e-suḳhan terī
na laa.e rañg faizān-e-humā ye ho nahīñ saktā
main toDun ahd-o-paiman-e-wafa ye ho nahin sakta
wo hote hain to ho jaen juda ye ho nahin sakta
pila saqi ki shaghl-e-mai-kashi ka waqt jata hai
yunhi chhai rahe kali ghaTa ye ho nahin sakta
wo chashm-e-surmagin jab tak masihai na farmae
mariz-e-gham ko ho jae shifa ye ho nahin sakta
na dekhe shaiKH tu jab tak buton ko meri aankhon se
nazar aae tujhe shan-e-KHuda ye ho nahin sakta
wo baz aaen jafa-o-jaur se ye ghair-mumkin hai
main chhoDun KHu-e-taslim-o-raza ye ho nahin sakta
nadamat ho mujhe apni jafa par ye to mumkin hai
tera dil ho pashiman-e-jafa ye ho nahin sakta
pasandida na ho 'simab' kyun tarz-e-suKHan teri
na lae rang faizan-e-huma ye ho nahin sakta
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 188)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.