main uljha hun bahut hi apni jaan se
maiñ uljhā huuñ bahut hī apnī jaañ se
mujhe fursat nahīñ hai is makāñ se
zamīñ par jaise bhī huuñ pur-sukūñ huuñ
pukāro mat mujhe tum āsmāñ se
ye saudā nuur kā hai nuur hī se
ai mere jism haT jā darmiyāñ se
bharam mujh se hī qaa.em hai tum.hārā
uThūñ gar maiñ tumhāre āstāñ se
na jaao āgahī kī kokh meñ tum
koī lauTā nahīñ ab tak vahāñ se
mirī vahshat mirī rāhat yahī hai
nikālo mat mujhe is ḳhāk-dāñ se
main uljha hun bahut hi apni jaan se
mujhe fursat nahin hai is makan se
zamin par jaise bhi hun pur-sukun hun
pukaro mat mujhe tum aasman se
ye sauda nur ka hai nur hi se
ai mere jism haT ja darmiyan se
bharam mujh se hi qaem hai tumhaara
uThun gar main tumhaare aastan se
na jao aagahi ki kokh mein tum
koi lauTa nahin ab tak wahan se
meri wahshat meri rahat yahi hai
nikalo mat mujhe is KHak-dan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.