main un ko kabhi had se guzarne nahin dunga
maiñ un ko kabhī had se guzarne nahīñ dūñgā
is tark-e-ta.alluq ko maiñ chalne nahīñ dūñgā
tum laakh uchhālā karo alfāz ke sho.ale
firdaus-e-mohabbat ko maiñ jalne nahīñ dūñgā
karnā hī paḌe chāhe sabā se mujhe sāzish
maiñ aap ke gesū ko sañvarne nahīñ dūñgā
māyūs nigāhoñ se tum ā.īna na dekho
maiñ apnī nigāhoñ ko badalne nahīñ dūñgā
bārīk sahī laakh kisī shoḳh kā āñchal
nazroñ ko maiñ shīshe meñ utarne nahīñ dūñgā
jab us kī bichhaḌte hue bhar ā.eñgī āñkheñ
kis tarah maiñ sāvan ko barasne nahīñ dūñgā
vo chāhe 'alīm' ab kabhī aa.eñ ki na aa.eñ
tā-umr maiñ palkoñ ko jhapakne nahīñ dūñgā
main un ko kabhi had se guzarne nahin dunga
is tark-e-talluq ko main chalne nahin dunga
tum lakh uchhaala karo alfaz ke shoale
firdaus-e-mohabbat ko main jalne nahin dunga
karna hi paDe chahe saba se mujhe sazish
main aap ke gesu ko sanwarne nahin dunga
mayus nigahon se tum aaina na dekho
main apni nigahon ko badalne nahin dunga
barik sahi lakh kisi shoKH ka aanchal
nazron ko main shishe mein utarne nahin dunga
jab us ki bichhaDte hue bhar aaengi aankhen
kis tarah main sawan ko barasne nahin dunga
wo chahe 'alim' ab kabhi aaen ki na aaen
ta-umr main palkon ko jhapakne nahin dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.