main us daraKHt ka bas aaKHiri hi patta tha
maiñ us daraḳht kā bas āḳhirī hī patta thā
jise hamesha havā ke ḳhilāf laḌnā thā
maiñ zindagī meñ kabhī is qadar na bhaTkā thā
ki jab zamīr mujhe rasta dikhātā thā
machine ban to chukā huuñ magar nahīñ bhūlā
ki mere jism meñ dil bhī kabhī dhaḌaktā thā
vo bachcha kho gayā duniyā kī bhiiḌ meñ kab kā
hasīn ḳhvāboñ kī jo titliyāñ pakaḌtā thā
phir us ke ba.ad parindoñ pe jaane kyā guzrī
maiñ ek peḌ kī shāḳhoñ ko kaaT aayā thā
tamām-umr vo aayā nahīñ zamīñ pe kabhī
havā meñ us ne jo sikka jo kabhī uchhālā thā
mirā vajūd bhī shāmil thā us kī miTTī meñ
mirā bhī khet kī fasloñ meñ koī hissa thā
na jane kitnī surañgeñ nikal ga.iiñ us se
khaḌā pahāḌ bhī to aañkh kā hī dhoka thā
jo baat baat pe khātā rahā ḳhudā kī qasam
qasam ḳhudā kī vahī aadmī to jhūTā thā
pata karo ki abhī vo baḌā huā ki nahīñ
baḌe daraḳht ke nīche jo nanhā paudā thā
us ek sher pe āñkheñ chamak uThī us kī
vo sher jis meñ ki roTī kā zikr aayā thā
hamārī zindagī thī ik talāsh paanī kī
jahāñ pe ret kā 'dvij' ek chhantā dariyā thā
main us daraKHt ka bas aaKHiri hi patta tha
jise hamesha hawa ke KHilaf laDna tha
main zindagi mein kabhi is qadar na bhaTka tha
ki jab zamir mujhe rasta dikhata tha
machine ban to chuka hun magar nahin bhula
ki mere jism mein dil bhi kabhi dhaDakta tha
wo bachcha kho gaya duniya ki bhiD mein kab ka
hasin KHwabon ki jo titliyan pakaDta tha
phir us ke baad parindon pe jaane kya guzri
main ek peD ki shaKHon ko kaT aaya tha
tamam-umr wo aaya nahin zamin pe kabhi
hawa mein us ne jo sikka jo kabhi uchhaala tha
mera wajud bhi shamil tha us ki miTTi mein
mera bhi khet ki faslon mein koi hissa tha
na jane kitni surangen nikal gain us se
khaDa pahaD bhi to aankh ka hi dhoka tha
jo baat baat pe khata raha KHuda ki qasam
qasam KHuda ki wahi aadmi to jhuTa tha
pata karo ki abhi wo baDa hua ki nahin
baDe daraKHt ke niche jo nanha pauda tha
us ek sher pe aankhen chamak uThi us ki
wo sher jis mein ki roTi ka zikr aaya tha
hamari zindagi thi ek talash pani ki
jahan pe ret ka 'dwij' ek chhanta dariya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.