main uske wasl se jaga to silsila tha wahi
maiñ us ke vasl se jaagā to silsila thā vahī
ki hijr us kā thā vaisā hī marhala thā vahī
dukān-e-shīsha-garāñ bhī sajā.ī thī us ne
tamām shahr meñ patthar bhī bāñTtā thā vahī
mujhe gumān ke sab rāste usī ne diye
mire yaqīñ ke diye bhī jalā rahā thā vahī
visāl us kā baratnā thā hijr likhnā bhī
ki tez dhuup meñ bārish kā rāsta thā vahī
parinde dhuup kī shiddat se ghar ke āñgan meñ
palaT ke aa.e to dekhā ki mas.ala thā vahī
vo ik yaqīn se jaatā thā chhoḌ kar mujh ko
nibāhne kā magar dil meñ hausla thā vahī
na.e visāl ke mausam meñ jo badan bhīgā
hujūm-e-hijr meñ dekhā to jal rahā thā vahī
maiñ jis kī rāhoñ se vāpas palaTne vaalā thā
nazar uThā.ī to ik roz aa rahā thā vahī
maiñ apne ḳhvāboñ kī dastak se jaag uThā 'ādil'
bahut sī rāteñ thiiñ aur sab meñ rat-jagā thā vahī
main us ke wasl se jaga to silsila tha wahi
ki hijr us ka tha waisa hi marhala tha wahi
dukan-e-shisha-garan bhi sajai thi us ne
tamam shahr mein patthar bhi banTta tha wahi
mujhe guman ke sab raste usi ne diye
mere yaqin ke diye bhi jala raha tha wahi
visal us ka baratna tha hijr likhna bhi
ki tez dhup mein barish ka rasta tha wahi
parinde dhup ki shiddat se ghar ke aangan mein
palaT ke aae to dekha ki masala tha wahi
wo ek yaqin se jata tha chhoD kar mujh ko
nibahne ka magar dil mein hausla tha wahi
nae visal ke mausam mein jo badan bhiga
hujum-e-hijr mein dekha to jal raha tha wahi
main jis ki rahon se wapas palaTne wala tha
nazar uThai to ek roz aa raha tha wahi
main apne KHwabon ki dastak se jag uTha 'adil'
bahut si raaten thin aur sab mein rat-jaga tha wahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.