main uski aankh mein aansu na dekh paunga
maiñ us kī aañkh meñ aañsū na dekh pā.ūñgā
vo ek buuñd bhī royā to Duub jā.ūñgā
bahār aa.e to shāyad vo bhuul jaa.e mujhe
maiñ apne sahn meñ paudā magar lagā.ūñgā
vo jis ko zaḳhm mire yaad karte rahte haiñ
usī ko DhūñD ke phir zindagī meñ lā.ūñgā
vo merī sub.h kā sūraj bane bane na bane
maiñ us kī shab meñ sitāroñ sā jagmagā.uñgā
ab apne aap se ik zid sī ho ga.ī hai mujhe
maiñ zaḳhm khā.ūñgā taḌpūñgā muskurā.ūñgā
maiñ jis kī zaat se kuchh mo'atabar sā lagtā huuñ
usī ke haq meñ duāoñ ke dar sajā.ūñgā
mirā vajūd ajab pattharoñ kī zad par hai
agar maiñ sar na jhukā.ūñ to TuuT jā.ūñgā
maiñ jāntā huuñ tujhe merī shaam yaad nahīñ
maiñ intizār kī sham.eñ magar jalā.ūñgā
mirī giraft meñ jugnū bhī aa nahīñ paate
maiñ us ke vāste taare kahāñ se lā.ūñgā
main us ki aankh mein aansu na dekh paunga
wo ek bund bhi roya to Dub jaunga
bahaar aae to shayad wo bhul jae mujhe
main apne sahn mein pauda magar lagaunga
wo jis ko zaKHm mere yaad karte rahte hain
usi ko DhunD ke phir zindagi mein launga
wo meri subh ka suraj bane bane na bane
main us ki shab mein sitaron sa jagmagaunga
ab apne aap se ek zid si ho gai hai mujhe
main zaKHm khaunga taDpunga muskuraunga
main jis ki zat se kuchh mo'atabar sa lagta hun
usi ke haq mein duaon ke dar sajaunga
mera wajud ajab pattharon ki zad par hai
agar main sar na jhukaun to TuT jaunga
main jaanta hun tujhe meri sham yaad nahin
main intizar ki shamen magar jalaunga
meri giraft mein jugnu bhi aa nahin pate
main us ke waste tare kahan se launga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.