main uski qaid se aazad bhi hota nahin tha
maiñ us kī qaid se āzād bhī hotā nahīñ thā
magar us qaid se nāshād bhī hotā nahīñ thā
bahut pahle se us ko chāñd kahtā aa rahā huuñ
ye tab kī baat hai jab chāñd bhī hotā nahīñ thā
usī chehre ko shiddat se bhulāne meñ lage haiñ
vahī chehra jo ham ko yaad bhī hotā nahīñ thā
mujhe hairat hai vo dil ab mujhī se bhar gayā hai
ki jo mere binā ābād bhī hotā nahīñ thā
hamāre dasht meñ koī parinde mārtā thā
sitam ye hai ki vo sayyād bhī hotā nahīñ thā
maiñ ḳhud se sīkhtā thā ḳhud-pasandī kā hunar bhī
aur is fan kā koī ustād bhī hotā nahīñ thā
main us ki qaid se aazad bhi hota nahin tha
magar us qaid se nashad bhi hota nahin tha
bahut pahle se us ko chand kahta aa raha hun
ye tab ki baat hai jab chand bhi hota nahin tha
usi chehre ko shiddat se bhulane mein lage hain
wahi chehra jo hum ko yaad bhi hota nahin tha
mujhe hairat hai wo dil ab mujhi se bhar gaya hai
ki jo mere bina aabaad bhi hota nahin tha
hamare dasht mein koi parinde marta tha
sitam ye hai ki wo sayyaad bhi hota nahin tha
main KHud se sikhta tha KHud-pasandi ka hunar bhi
aur is fan ka koi ustad bhi hota nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.