main use dekhun bhala kab mujhse dekha jae hai
maiñ use dekhūñ bhalā kab mujh se dekhā jaa.e hai
husn kī light se merī aañkh chuñdhiyā jaa.e hai
jab se beauty parlour se ho ke aaya vo hasīñ
saañp kī mānind us kī zulf bal khā jaa.e hai
aadmī kī jab nazar meñ qadr kho de aadmī
bakre ke badle meñ us kā sar bhī jhaTkā jaa.e hai
vo jo aa jaa.eñ mirī mayyat pe rone ke liye
ḳhud-baḳhud merā kafan chehre se sarkā jaa.e hai
meat khāne kā unheñ picnic meñ bhī chaska hai kyā
kaar ke bonnet pe baiThā saath murġhā jaa.e hai
rang khul jaa.e haiñ un ke gaal par holī ke din
painT kaalā bhī agar ho ruḳh pe khultā jaa.e hai
hai nagar meñ aadmī kā Dañgaroñ kā sā chalan
har saḌak ke khambe se vo piiTh khujlā jaa.e hai
kis bharose leaderī kā dam bharūñ maiñ āj-kal
ḳhaas chamcha thā jo merā vo bhī katrā jaa.e hai
tez sāñseñ chal rahī hoñ husn kī garmī se jab
achchhe achchhe āshiqoñ kā dam bhī ghuTtā jaa.e hai
thaan par ḳhachchar ke maiñ ne uuñT bāñdhā thā jo kal
rang us par vo chaḌhā ki hinhinātā jaa.e hai
ye salīqa ḳhuub dekhā 'rāz' ne kal bazm meñ
jo na piitā ho usī par jaam Daalā jaa.e he
main use dekhun bhala kab mujh se dekha jae hai
husn ki light se meri aankh chundhiya jae hai
jab se beauty parlour se ho ke aaya wo hasin
sanp ki manind us ki zulf bal kha jae hai
aadmi ki jab nazar mein qadr kho de aadmi
bakre ke badle mein us ka sar bhi jhaTka jae hai
wo jo aa jaen meri mayyat pe rone ke liye
KHud-baKHud mera kafan chehre se sarka jae hai
meat khane ka unhen picnic mein bhi chaska hai kya
kar ke bonnet pe baiTha sath murgha jae hai
rang khul jae hain un ke gal par holi ke din
painT kala bhi agar ho ruKH pe khulta jae hai
hai nagar mein aadmi ka Dangaron ka sa chalan
har saDak ke khambe se wo piTh khujla jae hai
kis bharose leaderi ka dam bharun main aaj-kal
KHas chamcha tha jo mera wo bhi katra jae hai
tez sansen chal rahi hon husn ki garmi se jab
achchhe achchhe aashiqon ka dam bhi ghuTta jae hai
than par KHachchar ke main ne unT bandha tha jo kal
rang us par wo chaDha ki hinhinata jae hai
ye saliqa KHub dekha 'raaz' ne kal bazm mein
jo na pita ho usi par jam Dala jae he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.