main wafa ki aankh se Tapka hua
maiñ vafā kī aañkh se Tapkā huā
ek aañsū thā bahut rusvā huā
par jhaTak kar ho gayā hai taaza dam
ik parinda qaid se chhūTā huā
muddateñ guzrīñ use bichhḌe hue
lamha lamha phir bhī hai Thahrā huā
pyaar bhī hotā hai kyā majbūr kā
ek va.ada ret par likkhā huā
ajnabī tū bhī parā.e des meñ
maiñ bhī apne shahr meñ bhaTkā huā
maiñ kisī muflis ke dar kī dhuul huuñ
vo bhī ik patthar bahut puujā huā
ik tirī dīvāngī 'mansūr' kyā
is galī meñ har koī rusvā huā
main wafa ki aankh se Tapka hua
ek aansu tha bahut ruswa hua
par jhaTak kar ho gaya hai taza dam
ek parinda qaid se chhuTa hua
muddaten guzrin use bichhDe hue
lamha lamha phir bhi hai Thahra hua
pyar bhi hota hai kya majbur ka
ek wada ret par likkha hua
ajnabi tu bhi parae des mein
main bhi apne shahr mein bhaTka hua
main kisi muflis ke dar ki dhul hun
wo bhi ek patthar bahut puja hua
ek teri diwangi 'mansur' kya
is gali mein har koi ruswa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.