main ye dekh ke bhi ruka nahin ki ghubar tha
maiñ ye dekh ke bhī rukā nahīñ ki ġhubār thā
mujhe rāste kā pata nahīñ ki ġhubār thā
vo hujūm sā jo umaD paḌā thā mire liye
mujhe dekhne ko milā nahīñ ki ġhubār thā
mirī rif’ateñ mujhe yak-ba-yak na samajh sakīñ
kahīñ munkashif maiñ huā nahīñ ki ġhubār thā
mire saa.e ko na daraḳht the na ‘imārateñ
mujhe āsmāñ kā pata nahīñ ki ġhubār thā
ka.ī baar mere qarīb se vo guzar gayā
mujhe phir bhī koī gila nahīñ ki ġhubār thā
kabhī paañv rakkhā to phūñk kar ki na uTh sake
kabhī tole par to uḌā nahīñ ki ġhubār thā
mujhe Thokaroñ ne girā diyā to pata chalā
koī sāmne se haTā nahīñ ki ġhubār thā
main ye dekh ke bhi ruka nahin ki ghubar tha
mujhe raste ka pata nahin ki ghubar tha
wo hujum sa jo umaD paDa tha mere liye
mujhe dekhne ko mila nahin ki ghubar tha
meri rif’aten mujhe yak-ba-yak na samajh sakin
kahin munkashif main hua nahin ki ghubar tha
mere sae ko na daraKHt the na ‘imaraten
mujhe aasman ka pata nahin ki ghubar tha
kai bar mere qarib se wo guzar gaya
mujhe phir bhi koi gila nahin ki ghubar tha
kabhi panw rakkha to phunk kar ki na uTh sake
kabhi tole par to uDa nahin ki ghubar tha
mujhe Thokaron ne gira diya to pata chala
koi samne se haTa nahin ki ghubar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.