main ye kab kahta hun kambaKHt unhen yaad na kar
maiñ ye kab kahtā huuñ kambaḳht unheñ yaad na kar
shevan-o-āh magar ai dil-e-nāshād na kar
dard siine meñ nihāñ rah ke asar rakhtā hai
ham-nashīñ tak se bayāñ husn kī bedād na kar
apnī āñkhoñ ko na ḳhūñ-nāba-fashāñ hone de
muft meñ lāl-e-ḳhudā-dād ko barbād na kar
phūñk de naġhma-e-jāñ-soz se sāmān-e-qafas
bulbul-e-tafta-jigar shikva-e-sayyād na kar
lutf jiine kā hai jab hī ki dil-e-mast-e-ḳhudī
āsmāñ tak se ye kah de mirī imdād na kar
aql-o-jazbāt ko rakh tāba-e-farmāñ apne
is ko sar par na chaḌhā aur inheñ āzād na kar
yaas meñ phoḌ ke sar marte haiñ kam-zarf 'amīñ'
zarf aalī hai tirā bai'at-e-farhād na kar
main ye kab kahta hun kambaKHt unhen yaad na kar
shewan-o-ah magar ai dil-e-nashad na kar
dard sine mein nihan rah ke asar rakhta hai
ham-nashin tak se bayan husn ki bedad na kar
apni aankhon ko na KHun-naba-fashan hone de
muft mein lal-e-KHuda-dad ko barbaad na kar
phunk de naghma-e-jaan-soz se saman-e-qafas
bulbul-e-tafta-jigar shikwa-e-sayyaad na kar
lutf jine ka hai jab hi ki dil-e-mast-e-KHudi
aasman tak se ye kah de meri imdad na kar
aql-o-jazbaat ko rakh taba-e-farman apne
is ko sar par na chaDha aur inhen aazad na kar
yas mein phoD ke sar marte hain kam-zarf 'amin'
zarf aali hai tera bai'at-e-farhad na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.