main yun hayat ki wadi-e-pur-KHatar mein raha
maiñ yuuñ hayāt kī vādī-e-pur-ḳhatar meñ rahā
charāġh jaise koī āñdhiy.oñ ke ghar meñ rahā
tamām ḳhauf-o-tahayyur ke bām-o-dar meñ rahā
maiñ ajnabī kī tarah ḳhud hī apne ghar meñ rahā
na kuchh davā meñ na kuchh dast-e-chāra-gar meñ rahā
nazar ke zaḳhm kā marham isī nazar meñ rahā
hisār-e-zāt se bāhar kabhī nikal na sakā
misāl-e-āb-e-guhar maiñ sadā guhar meñ rahā
pasand aaya na dāmān-e-reg-zār-e-karam
maiñ ashk ban ke bhī apnī hī chashm-e-tar meñ rahā
maiñ us kī dost-navāzī se ḳhuub vāqif huuñ
azal se vaqt ke hamrāh maiñ safar meñ rahā
na dushmanī na adāvat na dostī na ḳhulūs
sivā.e sūd-o-ziyāñ kyā hai ab bashar meñ rahā
na jaane kaun sī manzil kī justujū hai mujhe
hamesha pā-e-talab merā rahguzar meñ rahā
usī se gulshan-e-hastī mahak uThā hai 'shafīq'
jo ḳhaar marg-e-azal se dil-e-bashar meñ rahā
main yun hayat ki wadi-e-pur-KHatar mein raha
charagh jaise koi aandhiyon ke ghar mein raha
tamam KHauf-o-tahayyur ke baam-o-dar mein raha
main ajnabi ki tarah KHud hi apne ghar mein raha
na kuchh dawa mein na kuchh dast-e-chaara-gar mein raha
nazar ke zaKHm ka marham isi nazar mein raha
hisar-e-zat se bahar kabhi nikal na saka
misal-e-ab-e-guhar main sada guhar mein raha
pasand aaya na daman-e-reg-zar-e-karam
main ashk ban ke bhi apni hi chashm-e-tar mein raha
main us ki dost-nawazi se KHub waqif hun
azal se waqt ke hamrah main safar mein raha
na dushmani na adawat na dosti na KHulus
siwae sud-o-ziyan kya hai ab bashar mein raha
na jaane kaun si manzil ki justuju hai mujhe
hamesha pa-e-talab mera rahguzar mein raha
usi se gulshan-e-hasti mahak uTha hai 'shafiq'
jo KHar marg-e-azal se dil-e-bashar mein raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.