main yun to ek chhoTa sa diya hun
maiñ yuuñ to ek chhoTā sā diyā huuñ
magar ruḳh par havā ke jal rahā huuñ
mirī jānib tavajjoh kaun degā
huuñ ā.īna magar TuuTā huā huuñ
navāzish aisī kī hai dostoñ ne
maiñ apne saa.e se ab Dar rahā huuñ
tumhī karte adā rasmeñ vafā kī
to maiñ taslīm kartā bevafā huuñ
zamīñ par aa gayā huuñ āsmāñ se
anā kī rau meñ jab bhī maiñ bahā huuñ
tirā bartāv jo ho sab gavārā
tujhe had se ziyāda chāhtā huuñ
main yun to ek chhoTa sa diya hun
magar ruKH par hawa ke jal raha hun
meri jaanib tawajjoh kaun dega
hun aaina magar TuTa hua hun
nawazish aisi ki hai doston ne
main apne sae se ab Dar raha hun
tumhi karte ada rasmen wafa ki
to main taslim karta bewafa hun
zamin par aa gaya hun aasman se
ana ki rau mein jab bhi main baha hun
tera bartaw jo ho sab gawara
tujhe had se ziyaada chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.