main zaban-e-KHalq par ek zamzama ban jaunga
maiñ zabān-e-ḳhalq par ik zamzama ban jā.ūñgā
is tarah bikhrūñgā maiñ ki qāfila ban jā.ūñgā
shab kī tanhā.ī meñ bhī tanhā nahīñ rah pāoge
maiñ tumhāre vāste ik mas.ala ban jā.ūñgā
gard-e-māzī se nikal kar hāl-o-mustaqbil ke biich
aatī jaatī lahr kā ik silsila ban jā.ūñgā
mujh tak aa kar yuuñ guzar jaanā to kuchh āsāñ nahīñ
har qadam par dā.era-dar-dā.era ban jā.ūñgā
be-sukūñ lamhāt meñ mujh ko barat kar dekhnā
maiñ sukūn-e-qalb kā ik vāsta ban jā.ūñgā
rāste masdūd hoñ to maiñ tumhāre vāste
irtiqā.ī manziloñ kā rābta ban jā.ūñgā
main zaban-e-KHalq par ek zamzama ban jaunga
is tarah bikhrunga main ki qafila ban jaunga
shab ki tanhai mein bhi tanha nahin rah paoge
main tumhaare waste ek masala ban jaunga
gard-e-mazi se nikal kar haal-o-mustaqbil ke bich
aati jati lahr ka ek silsila ban jaunga
mujh tak aa kar yun guzar jaana to kuchh aasan nahin
har qadam par daera-dar-daera ban jaunga
be-sukun lamhat mein mujh ko barat kar dekhna
main sukun-e-qalb ka ek wasta ban jaunga
raste masdud hon to main tumhaare waste
irtiqai manzilon ka rabta ban jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.