main zamin par chala nahin hota
maiñ zamīñ par chalā nahīñ hotā
to koī rāsta nahīñ hotā
aadmī ne ḳhudā banā.e haiñ
varna koī ḳhudā nahīñ hotā
ham hī maikash nahīñ haiñ duniyā meñ
shaiḳh bhī pārsā nahīñ hotā
pahle hotī thī 'ishq meñ lazzat
ab koī zā.iqa nahīñ hotā
kis tarah zindagī ko jiinā hai
har kisī ko pata nahīñ hotā
jo bhalā.ī ke kaam kartā hai
bas usī kā bhalā nahīñ hotā
main zamin par chala nahin hota
to koi rasta nahin hota
aadmi ne KHuda banae hain
warna koi KHuda nahin hota
hum hi maikash nahin hain duniya mein
shaiKH bhi parsa nahin hota
pahle hoti thi 'ishq mein lazzat
ab koi zaiqa nahin hota
kis tarah zindagi ko jina hai
har kisi ko pata nahin hota
jo bhalai ke kaam karta hai
bas usi ka bhala nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.