main zamin par mere sar par aasman Tahla kiya
maiñ zamīñ par mere sar par āsmāñ Tahlā kiyā
saath apne le ke apnā sā.ebāñ Tahlā kiyā
paas rah kar bhī rahe ik dūsre se ajnabī
ḳhauf sā ik mere un ke darmiyāñ Tahlā kiyā
tak rahī hai kitnī hasrat se mirī jannat mujhe
mujh ko jaanā thā kahāñ aur maiñ kahāñ Tahlā kiyā
log āsār-e-qadīma kī tarah takte rahe
likh ke ik taḳhtī pe maiñ urdu zabāñ Tahlā kiyā
ek cigarette kī tarah jab bujh ga.ī ye zindagī
'mast' yādoñ kā mirī har-sū dhuāñ Tahlā kiyā
main zamin par mere sar par aasman Tahla kiya
sath apne le ke apna saeban Tahla kiya
pas rah kar bhi rahe ek dusre se ajnabi
KHauf sa ek mere un ke darmiyan Tahla kiya
tak rahi hai kitni hasrat se meri jannat mujhe
mujh ko jaana tha kahan aur main kahan Tahla kiya
log aasar-e-qadima ki tarah takte rahe
likh ke ek taKHti pe main urdu zaban Tahla kiya
ek cigarette ki tarah jab bujh gai ye zindagi
'mast' yaadon ka meri har-su dhuan Tahla kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.