main zindagi ke din aise sanwar leta hun
maiñ zindagī ke din aise sañvār letā huuñ
ki tere saath meñ kuchh pal guzār letā huuñ
maiñ dūsroñ kī ḳhushī ḳhud se pahle rakhtā huuñ
jahāñ pe jiit bhī saktā huuñ haar letā huuñ
pukārte haiñ musībat meñ log apnoñ ko
so maiñ bhī apne ġhamoñ ko pukār letā huuñ
sañbhāl letā huuñ ḳhud ko maiñ laḌkhaḌā kar bhī
jahāñ bhī girtā huuñ raste sudhār letā huuñ
main zindagi ke din aise sanwar leta hun
ki tere sath mein kuchh pal guzar leta hun
main dusron ki KHushi KHud se pahle rakhta hun
jahan pe jit bhi sakta hun haar leta hun
pukarte hain musibat mein log apnon ko
so main bhi apne ghamon ko pukar leta hun
sanbhaal leta hun KHud ko main laDkhaDa kar bhi
jahan bhi girta hun raste sudhaar leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.