main zindagi ke hazaron azab jhel gaya
maiñ zindagī ke hazāroñ azaab jhel gayā
azaab kyā haiñ maiñ kitne hī ḳhvāb jhel gayā
ye pyaas dhuup safar dasht aur maiñ tanhā
ġhanīm vaqt kā ik ik hisāb jhel gayā
maiñ apne aap se mil kar bahut pashemāñ huuñ
bichhaḌte rahne kā paiham azaab jhel gayā
ufuq ufuq vo magar mehr-o-mah uchhāle hai
maiñ zaḳhm zaḳhm ka.ī āftāb jhel gayā
vo ik sadā thī ki sadiyoñ kī guuñj thī mujh meñ
us ek lamhe meñ kyā inqalāb jhel gayā
ukhaḌ hī jā.egā ab sā.ibān-e-roz-o-shab
'shamīm' bojh to zor-e-tanāb jhel gayā
main zindagi ke hazaron azab jhel gaya
azab kya hain main kitne hi KHwab jhel gaya
ye pyas dhup safar dasht aur main tanha
ghanim waqt ka ek ek hisab jhel gaya
main apne aap se mil kar bahut pasheman hun
bichhaDte rahne ka paiham azab jhel gaya
ufuq ufuq wo magar mehr-o-mah uchhaale hai
main zaKHm zaKHm kai aaftab jhel gaya
wo ek sada thi ki sadiyon ki gunj thi mujh mein
us ek lamhe mein kya inqalab jhel gaya
ukhaD hi jaega ab saiban-e-roz-o-shab
'shamim' bojh to zor-e-tanab jhel gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.