main zindagi ki rah-e-pur-KHatar mein tanha tha
maiñ zindagī kī rah-e-pur-ḳhatar meñ tanhā thā
pata chalā ki maiñ us rahguzar meñ tanhā thā
ḳhushī thī is kī ki sab hī the shahr meñ apne
ġham is kā thā ki maiñ phir bhī nagar meñ tanhā thā
samajh sake na mujhe vo bhī jo the ḳhud mere
udaas yuuñ thā ki ḳhud apne ghar meñ tanhā thā
na thā koī mirā rahbar na koī merā rafīq
maiñ zindagī ke añdhere safar meñ tanhā thā
jahāñ meñ kahtā bhī kis se maiñ dil kā apne dard
maiñ us ḳharāba-e-be-bām-o-dar meñ tanhā thā
na thā koī jo masā.ib meñ saath detā mirā
hamesha narġha-e-barq-o-sharar meñ tanhā thā
ghirā huā thā maiñ ahl-e-jahāñ ke majma.a meñ
magar maiñ har nigah-e-dīda-var meñ tanhā thā
talāsh-e-zar meñ mire saath be-shumār the log
ba-īñ-hama maiñ ḳhud us shahr-e-zar meñ tanhā thā
vo apne dil meñ thā ik anjuman sajā.e hue
vo jo ki ahl-e-jahāñ kī nazar meñ tanhā thā
koī halīf thā merā na koī merā harīf
'valī' maiñ razm-gah-e-ḳhair-o-shar meñ tanhā thā
main zindagi ki rah-e-pur-KHatar mein tanha tha
pata chala ki main us rahguzar mein tanha tha
KHushi thi is ki ki sab hi the shahr mein apne
gham is ka tha ki main phir bhi nagar mein tanha tha
samajh sake na mujhe wo bhi jo the KHud mere
udas yun tha ki KHud apne ghar mein tanha tha
na tha koi mera rahbar na koi mera rafiq
main zindagi ke andhere safar mein tanha tha
jahan mein kahta bhi kis se main dil ka apne dard
main us KHaraba-e-be-baam-o-dar mein tanha tha
na tha koi jo masaib mein sath deta mera
hamesha nargha-e-barq-o-sharar mein tanha tha
ghira hua tha main ahl-e-jahan ke majma mein
magar main har nigah-e-dida-war mein tanha tha
talash-e-zar mein mere sath be-shumar the log
ba-in-hama main KHud us shahr-e-zar mein tanha tha
wo apne dil mein tha ek anjuman sajae hue
wo jo ki ahl-e-jahan ki nazar mein tanha tha
koi halif tha mera na koi mera harif
'wali' main razm-gah-e-KHair-o-shar mein tanha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.