main zulmaton mein ujale ki ek alamat tha
maiñ zulmatoñ meñ ujāle kī ik alāmat thā
isī kā naam to is shahr meñ baġhāvat thā
mujhe miTā ke bhalā tū kahāñ rahā baaqī
mirā vajūd tirī zaat kī shahādat thā
sabhī mare hue the ek shaḳhs zinda thā
usī ko mārnā sab ke liye ibādat thā
luTā ke jaan bhī jis phuul kī hifāzat kī
vo phuul bhī to kisī aur kī amānat thā
guloñ ko rauñd ke aa.e ho apne paañv tale
faqat yahī tirā sarmāya-e-shujā.at thā
mujhe qubūl koī shaḳhs bhī na kar paayā
maiñ is jahān meñ goyā koī sadāqat thā
thakan se chuur huā to 'ḳhizar' khulā mujh par
mirā qiyām bhī duniyā meñ ik masāfat thā
main zulmaton mein ujale ki ek alamat tha
isi ka nam to is shahr mein baghawat tha
mujhe miTa ke bhala tu kahan raha baqi
mera wajud teri zat ki shahadat tha
sabhi mare hue the ek shaKHs zinda tha
usi ko marna sab ke liye ibaadat tha
luTa ke jaan bhi jis phul ki hifazat ki
wo phul bhi to kisi aur ki amanat tha
gulon ko raund ke aae ho apne panw tale
faqat yahi tera sarmaya-e-shujaat tha
mujhe qubul koi shaKHs bhi na kar paya
main is jahan mein goya koi sadaqat tha
thakan se chur hua to 'KHizar' khula mujh par
mera qiyam bhi duniya mein ek masafat tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.