majaz par bhi zara chashm-e-haq-numa karna
majāz par bhī zarā chashm-e-haq-numā karnā
butoñ kī yaad meñ ai dil ḳhudā ḳhudā karnā
butoñ kā sheva to hai zulm-e-nā-ravā karnā
magar ḳhabar nahīñ allāh ko hai kyā karnā
jo ho sake to pas-e-marg ye kiyā karnā
uThā ke haath mirī qabr par duā karnā
haiñ vo ye chāhte puurā mirā kahā karnā
mujhe bhī chāhiye ab tark-e-mudda.ā karnā
ḳhirām-e-nāz se pis jā.ūñ maiñ ki miT jā.ūñ
niyāz-mand ko aatā nahīñ gilā karnā
niyāz-nāma to pahuñchā.egā unheñ lekin
haq-e-payām bhī ai nāma-bar adā karnā
javān ho ke chhupā.eñ vo rāz-e-dil kyūñkar
ki shoḳhiyoñ ne sikhāyā nahīñ hayā karnā
jafā-o-jaur par ai dil na shikva muñh se nikāl
kahīñ na baiThe-biThā.e use ḳhafā karnā
harīs-e-lazzat-e-āzār ko ye aatā hai
sazā ke shauq meñ har fe.al nā-sazā karnā
tumhārā dhyān to har-vaqt ham ko rahtā hai
ḳhayāl kuchh to hamārā bhī tum ko thā karnā
kiyā hai ahd-e-mohabbat to phir nibāh bhī ho
batāo saaf na karnā hai tum ko yā karnā
riyā pasand nahīñ kibriyā ko ai 'hāmid'
ibādat us kī jo karnā to be-riyā karnā
majaz par bhi zara chashm-e-haq-numa karna
buton ki yaad mein ai dil KHuda KHuda karna
buton ka shewa to hai zulm-e-na-rawa karna
magar KHabar nahin allah ko hai kya karna
jo ho sake to pas-e-marg ye kiya karna
uTha ke hath meri qabr par dua karna
hain wo ye chahte pura mera kaha karna
mujhe bhi chahiye ab tark-e-muddaa karna
KHiram-e-naz se pis jaun main ki miT jaun
niyaz-mand ko aata nahin gila karna
niyaz-nama to pahunchaega unhen lekin
haq-e-payam bhi ai nama-bar ada karna
jawan ho ke chhupaen wo raaz-e-dil kyunkar
ki shoKHiyon ne sikhaya nahin haya karna
jafa-o-jaur par ai dil na shikwa munh se nikal
kahin na baiThe-biThae use KHafa karna
haris-e-lazzat-e-azar ko ye aata hai
saza ke shauq mein har feal na-saza karna
tumhaara dhyan to har-waqt hum ko rahta hai
KHayal kuchh to hamara bhi tum ko tha karna
kiya hai ahd-e-mohabbat to phir nibah bhi ho
batao saf na karna hai tum ko ya karna
riya pasand nahin kibriya ko ai 'hamid'
ibaadat us ki jo karna to be-riya karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.