majbur-e-shab ko subh ka muKHtar dekh kar
majbūr-e-shab ko sub.h kā muḳhtār dekh kar
hairāñ hai aql vaqt kī raftār dekh kar
bīmār ko hai aap ke aane kā intizār
sab ro rahe haiñ hālat-e-bīmār dekh kar
ahbāb kī tasalliyāñ ḳhud zaḳhm ban ga.iiñ
ghabrā rahā huuñ kasrat-e-ġham-ḳhvār dekh kar
anjām-e-fasl-e-gul pe hai merī nigāh dost
ḳhuuñ ro rahā huuñ rang-e-chaman-zār dekh kar
kis ne falak kā chāñd zamīñ par bichhā diyā
aaya ḳhayāl rahguzar-e-yār dekh kar
shabnam ho jaise dāman-e-nargis meñ ḳhanda-zan
samjhā maiñ un kī chashm-e-guhar-bār dekh kar
phir mere ġhaur-o-fikr kī qismat jagā bhī de
muddat huī hai tujh ko ziyā-bār dekh kar
'aḳhtar' sukūn-e-dil ke sivā thī har ek shai
ham lauT aa.e raunaq-e-bāzār dekh kar
majbur-e-shab ko subh ka muKHtar dekh kar
hairan hai aql waqt ki raftar dekh kar
bimar ko hai aap ke aane ka intizar
sab ro rahe hain haalat-e-bimar dekh kar
ahbab ki tasalliyan KHud zaKHm ban gain
ghabra raha hun kasrat-e-gham-KHwar dekh kar
anjam-e-fasl-e-gul pe hai meri nigah dost
KHun ro raha hun rang-e-chaman-zar dekh kar
kis ne falak ka chand zamin par bichha diya
aaya KHayal rahguzar-e-yar dekh kar
shabnam ho jaise daman-e-nargis mein KHanda-zan
samjha main un ki chashm-e-guhar-bar dekh kar
phir mere ghaur-o-fikr ki qismat jaga bhi de
muddat hui hai tujh ko ziya-bar dekh kar
'aKHtar' sukun-e-dil ke siwa thi har ek shai
hum lauT aae raunaq-e-bazar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.