majbur ho gaya to faza mein bikhar gaya
majbūr ho gayā to fazā meñ bikhar gayā
māhaul aisā paayā ki be-maut mar gayā
ik ajnabī ko rāsta batlānā shahr kā
mujh ko tamām gaañv meñ badnām kar gayā
zinda thā vo to koī use pūchhtā na thā
lekin vo jab marā to baḌā naam kar gayā
sach baat bhī zabāñ se koī boltā nahīñ
jaise har ek shaḳhs kā ehsās mar gayā
sho.ale se ab bhī uThte haiñ is ḳhaak se 'jamīl'
ghar ko jale hue to zamāna guzar gayā
majbur ho gaya to faza mein bikhar gaya
mahaul aisa paya ki be-maut mar gaya
ek ajnabi ko rasta batlana shahr ka
mujh ko tamam ganw mein badnam kar gaya
zinda tha wo to koi use puchhta na tha
lekin wo jab mara to baDa nam kar gaya
sach baat bhi zaban se koi bolta nahin
jaise har ek shaKHs ka ehsas mar gaya
shoale se ab bhi uThte hain is KHak se 'jamil'
ghar ko jale hue to zamana guzar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.