majlis-e-hijr thi sina jalta raha
majlis-e-hijr thī siina jaltā rahā
girya hotā rahā bain chaltā rahā
tā-falak jism ke saa.e larzāñ rahe
kaisā haijān sāñsoñ meñ paltā rahā
yaad dil meñ bhañvar sā banātī rahī
dard sahrā thā āñkhoñ meñ jaltā rahā
gum thī umm-e-vujūd aur tifl-e-'adam
vaqt ke pālne meñ machaltā rahā
kaisā ġhārat-gar-e-husn thā terā 'ishq
saare manzar pe kālak sī maltā rahā
ek terī chamak thī sivā aur sivā
mere sūraj ko Dhalnā thā Dhaltā rahā
tā-sahar ġham-kade meñ tirā nuur thā
tā-sahar zikr chaltā nikaltā rahā
majlis-e-hijr thi sina jalta raha
girya hota raha bain chalta raha
ta-falak jism ke sae larzan rahe
kaisa haijaan sanson mein palta raha
yaad dil mein bhanwar sa banati rahi
dard sahra tha aankhon mein jalta raha
gum thi umm-e-wujud aur tifl-e-'adam
waqt ke palne mein machalta raha
kaisa ghaarat-gar-e-husn tha tera 'ishq
sare manzar pe kalak si malta raha
ek teri chamak thi siwa aur siwa
mere suraj ko Dhalna tha Dhalta raha
ta-sahar gham-kade mein tera nur tha
ta-sahar zikr chalta nikalta raha
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 36)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.