majruh-e-arzu kabhi mera jigar na ho
majrūh-e-ārzū kabhī merā jigar na ho
minnat-shanās tīr-e-nazar dil agar na ho
mumkin hai ye ki zabt karūñ aañkh tar na ho
Dar hai kahīñ tarāvish-e-laḳht-e-jigar na ho
tīkhī nigah se dekh leñ ḳhanjar agar na ho
mumkin nahīñ ki tīr-e-nazar kārgar na ho
dāman ko kyoñ bachā.e hue jā rahe haiñ vo
pāmāl ġham kī ḳhaak sar-e-rahguzar na ho
anjān tum bane raho ye aur baat hai
aisā to kyā hai tum ko hamārī ḳhabar na ho
bīmār-e-ġham hai soz-e-alam kā phuñkā huā
har qatra ashk-e-surḳh kā Dar hai sharar na ho
haiñ sarfarosh lazzat-e-rāhat se āshnā
sardār kaun hai vo jise dard-e-sar na ho
aisā nishāna chāhiye nāvak-fagan mire
dil par lage jo tiir jigar ko ḳhabar na ho
sarmāya-dār-e-aib-e-vafā huuñ azal se maiñ
kuchh ġham nahīñ mujhe jo mata-e-hunar na ho
'bedil' ke dil se zulf kā jaatā nahīñ ḳhayāl
ye ḳhāna-e-ḳhudā kisī kāfir kā ghar na ho
majruh-e-arzu kabhi mera jigar na ho
minnat-shanas tir-e-nazar dil agar na ho
mumkin hai ye ki zabt karun aankh tar na ho
Dar hai kahin tarawish-e-laKHt-e-jigar na ho
tikhi nigah se dekh len KHanjar agar na ho
mumkin nahin ki tir-e-nazar kargar na ho
daman ko kyon bachae hue ja rahe hain wo
pamal gham ki KHak sar-e-rahguzar na ho
anjaan tum bane raho ye aur baat hai
aisa to kya hai tum ko hamari KHabar na ho
bimar-e-gham hai soz-e-alam ka phunka hua
har qatra ashk-e-surKH ka Dar hai sharar na ho
hain sarfarosh lazzat-e-rahat se aashna
sardar kaun hai wo jise dard-e-sar na ho
aisa nishana chahiye nawak-fagan mere
dil par lage jo tir jigar ko KHabar na ho
sarmaya-dar-e-aib-e-wafa hun azal se main
kuchh gham nahin mujhe jo mata-e-hunar na ho
'bedil' ke dil se zulf ka jata nahin KHayal
ye KHana-e-KHuda kisi kafir ka ghar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.