majruh hai dil sine mein sad-chaak jigar bhi
majrūh hai dil siine meñ sad-chāk jigar bhī
kuchh kam nahīñ qātil tirā andāz-e-nazar bhī
aate hue Darte haiñ siyah-ḳhāne meñ mere
katrā ke nikal jaate haiñ anjum bhī qamar bhī
kyoñ darpai-e-īzā hai shab-e-hijr meñ zālim
kuchh tujh ko mo.azzin nahīñ allāh kā Dar bhī
jo aap kaheñ sab vo durust aur bajā hai
aiboñ ke sivā mujh meñ nahīñ koī hunar bhī
jaa.eñ to kahāñ jaa.eñ rihā ho ke qafas se
parvāz ke qābil na rahe baal bhī par bhī
ye ġham kī hama-gīrī kā aalam hai shab-e-hijr
maġhmūm nazar aate haiñ dīvār bhī dar bhī
is tarah se nākām mohabbat meñ na hotā
ai aah agar hotā zarā tujh meñ asar bhī
ab Dhang na.e sīkhe haiñ khul khele haiñ bilkul
sunte haiñ vo jaane lage aġhyār ke ghar bhī
ik aah nahīñ hai mirī rusvā.ī kā baa.is
badnām kareñge mujhe ye dīda-e-tar bhī
ġham-ḳhāne meñ mere koī tafrīq nahīñ hai
jis rang kī hai shaam yahāñ vaisī sahar bhī
aa jaatā hai ik vaqt mohabbat meñ kuchh aisā
rahtī hai nahīñ mujh ko zarā ḳhud kī ḳhabar bhī
kaaTe nahīñ kaTtī hai shab-e-ġham kī musībat
is raat kī hogī kahīñ allāh sahar bhī
'ishrat' mirī ulfat kā yaqīñ un ko na hogā
maiñ nazr karūñ apnā agar kaaT ke sar bhī
majruh hai dil sine mein sad-chaak jigar bhi
kuchh kam nahin qatil tera andaz-e-nazar bhi
aate hue Darte hain siyah-KHane mein mere
katra ke nikal jate hain anjum bhi qamar bhi
kyon darpai-e-iza hai shab-e-hijr mein zalim
kuchh tujh ko moazzin nahin allah ka Dar bhi
jo aap kahen sab wo durust aur baja hai
aibon ke siwa mujh mein nahin koi hunar bhi
jaen to kahan jaen riha ho ke qafas se
parwaz ke qabil na rahe baal bhi par bhi
ye gham ki hama-giri ka aalam hai shab-e-hijr
maghmum nazar aate hain diwar bhi dar bhi
is tarah se nakaam mohabbat mein na hota
ai aah agar hota zara tujh mein asar bhi
ab Dhang nae sikhe hain khul khele hain bilkul
sunte hain wo jaane lage aghyar ke ghar bhi
ek aah nahin hai meri ruswai ka bais
badnam karenge mujhe ye dida-e-tar bhi
gham-KHane mein mere koi tafriq nahin hai
jis rang ki hai sham yahan waisi sahar bhi
aa jata hai ek waqt mohabbat mein kuchh aisa
rahti hai nahin mujh ko zara KHud ki KHabar bhi
kaTe nahin kaTti hai shab-e-gham ki musibat
is raat ki hogi kahin allah sahar bhi
'ishrat' meri ulfat ka yaqin un ko na hoga
main nazr karun apna agar kaT ke sar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.