makan deta kahan tha aman miTTi ka
makān detā kahāñ thā amaan miTTī kā
makīn chhoḌ ga.e ye jahān miTTī kā
nā jaane kaunsī bārish bahā ke le jaa.e
khaḌā huuñ sar pe liye sā.ebāñ miTTī kā
zamīñ ko tang samajhte ho kis liye itnā
ye shukr hai ki nahīñ āsmān miTTī kā
tumhāre lams kī ḳhushbū hai aaj tak is meñ
mahak rahā hai abhī phūl-dān miTTī kā
bikhar rahā huuñ havā meñ kuchh is tarah ab to
badan pe hone lagā hai gumān miTTī kā
maiñ Dar rahā huuñ ki māyūs hī na ho 'az.har'
ki le rahā hai koī imtihān miTTī kā
makan deta kahan tha aman miTTi ka
makin chhoD gae ye jahan miTTi ka
na jaane kaunsi barish baha ke le jae
khaDa hun sar pe liye saeban miTTi ka
zamin ko tang samajhte ho kis liye itna
ye shukr hai ki nahin aasman miTTi ka
tumhaare lams ki KHushbu hai aaj tak is mein
mahak raha hai abhi phul-dan miTTi ka
bikhar raha hun hawa mein kuchh is tarah ab to
badan pe hone laga hai guman miTTi ka
main Dar raha hun ki mayus hi na ho 'azhar'
ki le raha hai koi imtihan miTTi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.