makan-e-dil mein darwaza nahin hai
makān-e-dil meñ darvāza nahīñ hai
kisī ne aap ko dekhā nahīñ hai
mujhe tum se koī shikva nahīñ hai
abhī tum ne mujhe samjhā nahīñ hai
hameñ chāheñ na chāheñ un kī marzī
mohabbat hai ye samjhautā nahīñ hai
bahut saada hai merī zindagānī
maiñ tum par jaan apnī vaar dūñgā
abhī tum ne mujhe parkhā nahīñ hai
tamannāoñ kā uljhāvā nahīñ hai
ghir aayā hai mirī āñkhoñ kā bādal
abhī ye TuuT kar barsā nahīñ hai
ye maanā muḳhtasar hai laakh lekin
hamārī zindagī dhokā nahīñ hai
maiñ sub.h-o-shām kartā huuñ tilāvat
mujhe ab jaan kā ḳhatra nahīñ hai
sabhī ke saath apne apne ġham haiñ
yahāñ par koī bhī tanhā nahīñ hai
vahī bachche muḳhālif ho rahe haiñ
buzurgoñ ne jinheñ Tokā nahīñ hai
use ḳhauf-e-ilāhī kis qadar hai
na jaane kab se vo soyā nahīñ hai
ham apnī marzī se jiite haiñ 'fārūq'
kisī se koī samjhauta nahīñ hai
makan-e-dil mein darwaza nahin hai
kisi ne aap ko dekha nahin hai
mujhe tum se koi shikwa nahin hai
abhi tum ne mujhe samjha nahin hai
hamein chahen na chahen un ki marzi
mohabbat hai ye samjhauta nahin hai
bahut sada hai meri zindagani
main tum par jaan apni war dunga
abhi tum ne mujhe parkha nahin hai
tamannaon ka uljhawa nahin hai
ghir aaya hai meri aankhon ka baadal
abhi ye TuT kar barsa nahin hai
ye mana muKHtasar hai lakh lekin
hamari zindagi dhoka nahin hai
main subh-o-sham karta hun tilawat
mujhe ab jaan ka KHatra nahin hai
sabhi ke sath apne apne gham hain
yahan par koi bhi tanha nahin hai
wahi bachche muKHalif ho rahe hain
buzurgon ne jinhen Toka nahin hai
use KHauf-e-ilahi kis qadar hai
na jaane kab se wo soya nahin hai
hum apni marzi se jite hain 'faruq'
kisi se koi samjhauta nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.