makan-e-dil se jo uThta tha wo dhuan bhi gaya
makān-e-dil se jo uThtā thā vo dhuāñ bhī gayā
bujhī jo ātish-e-jāñ ziist kā nishāñ bhī gayā
bahut panāh thī us ghar kī chhat ke saa.e meñ
vahāñ se nikle to phir sar se āsmāñ bhī gayā
baḌhā kuchh aur tajassus jalā kuchh aur bhī zehn
haqīqatoñ ke ta.āqub meñ maiñ jahāñ bhī gayā
rahe na saath jo pachhtāve bhī to rañj huā
ki hāsil-e-safar-e-umr-e-rā.egāñ bhī gayā
bachche hue the to ek ek lamha ginte the
bikhar ga.e to phir andāza-e-zamāñ bhī gayā
nishān tak na rahā apne ġharq hone kā
dikhā.ī detā thā jo ab vo bādbāñ bhī gayā
bharā thā dāman-e-ḳhvāhish to hashr barpā thā
huā tahī to phir āvāza-e-sagāñ bhī gayā
ab is udaas havelī se apnā kyā rishta
makīñ ke saath hamāre liye makāñ bhī gayā
bisāt-e-dahr pe shah-māt ho ga.ī ham ko
'riyāz' vo bhī na haath aayā naqd-e-jāñ bhī gayā
makan-e-dil se jo uThta tha wo dhuan bhi gaya
bujhi jo aatish-e-jaan zist ka nishan bhi gaya
bahut panah thi us ghar ki chhat ke sae mein
wahan se nikle to phir sar se aasman bhi gaya
baDha kuchh aur tajassus jala kuchh aur bhi zehn
haqiqaton ke taaqub mein main jahan bhi gaya
rahe na sath jo pachhtawe bhi to ranj hua
ki hasil-e-safar-e-umr-e-raegan bhi gaya
bachche hue the to ek ek lamha ginte the
bikhar gae to phir andaza-e-zaman bhi gaya
nishan tak na raha apne gharq hone ka
dikhai deta tha jo ab wo baadban bhi gaya
bhara tha daman-e-KHwahish to hashr barpa tha
hua tahi to phir aawaza-e-sagan bhi gaya
ab is udas haweli se apna kya rishta
makin ke sath hamare liye makan bhi gaya
bisat-e-dahr pe shah-mat ho gai hum ko
'riyaz' wo bhi na hath aaya naqd-e-jaan bhi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.