makan-e-jaan pe bhala kab makin ka hissa hai
makān-e-jāñ pe bhalā kab makīñ kā hissa hai
ye āsmāñ bhī sarāsar zamīñ kā hissa hai
badan kī saarī rageñ jal ga.iiñ magar ab tak
jo jal na paayā kisī dil-nashīñ kā hissa hai
Thahar bhī jaao ki hai baat kuchh mahīnoñ kī
gumāñ kī naaf meñ zinda yaqīñ kā hissa hai
chhupā huā nahīñ rahtā hai kuchh faqīroñ kā
chamak rahā hai jo qashqa jabīñ kā hissa hai
baqā ke saare mazāhir tumhāre hisse ke
fanā kā baab 'shamīm'-e-hazīñ kā hissa hai
makan-e-jaan pe bhala kab makin ka hissa hai
ye aasman bhi sarasar zamin ka hissa hai
badan ki sari ragen jal gain magar ab tak
jo jal na paya kisi dil-nashin ka hissa hai
Thahar bhi jao ki hai baat kuchh mahinon ki
guman ki naf mein zinda yaqin ka hissa hai
chhupa hua nahin rahta hai kuchh faqiron ka
chamak raha hai jo qashqa jabin ka hissa hai
baqa ke sare mazahir tumhaare hisse ke
fana ka bab 'shamim'-e-hazin ka hissa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.