makan kahin to muqarrar ho la-makan ke liye
makāñ kahīñ to muqarrar ho lā-makāñ ke liye
nishāñ kahīñ to muayyan ho be-nishāñ ke liye
milā hai jism hameñ imtiyāz-e-jāñ ke liye
bashar vajūd meñ aayā hai imtihāñ ke liye
nigāh vaqf-e-jamāl-o-ḳhayāl mahv-e-jalāl
rah-e-fanā meñ haiñ do naqsh-e-pā nishāñ ke liye
muhīt-e-ishq kī maujeñ haiñ iztirāb-o-sukūñ
ki madd-o-jazr bane bahr-e-bekarāñ ke liye
huzūr-e-qalb hai sarmāya-e-hayāt-e-davām
nafas hai ḳhizr mirā umr-e-jāvedāñ ke liye
mirī namāz ko bahr-e-vuzū hai jām-e-tuhūr
salā-e-sāqi-e-kausar hai bas azaañ ke liye
hamāre dil meñ yaqīñ ko milī hai gunjā.ish
ki bas hai vus.at-e-kaun-o-makāñ gumāñ ke liye
chalī jo sāhil-e-umr-e-ravāñ se kashtī-e-tan
nafas se kaam mashiyyat ne bādbāñ ke liye
huā ye sho.ala-zabānī se sham.a kī raushan
ki mom ho hama-tan ātishīñ bayāñ ke liye
mirī nazar meñ hai ism-o-sifat kī jalvagarī
zabān-e-hāl hai shāhid mire bayāñ ke liye
kahā ye rahmat-e-bārī ne hai ye haq se ba.iid
ki vaqf ho koī jalva kisī makāñ ke liye
ayaañ ye husn-e-ḳhud-ārā kī ḳhud-numā.ī hai
ki nūr-e-ain hai chashm-e-jahāniyāñ ke liye
faroġh-e-ilm se raushan hai sham-e-bazm-e-suḳhan
salā-e-ām hai yārān-e-nukta-dāñ ke liye
baqā-e-zāt meñ hai mā-sivā fanā 'sāhir'
ye dil pe naqsh hai ta.avīz hirz-e-jāñ ke liye
makan kahin to muqarrar ho la-makan ke liye
nishan kahin to muayyan ho be-nishan ke liye
mila hai jism hamein imtiyaz-e-jaan ke liye
bashar wajud mein aaya hai imtihan ke liye
nigah waqf-e-jamal-o-KHayal mahw-e-jalal
rah-e-fana mein hain do naqsh-e-pa nishan ke liye
muhit-e-ishq ki maujen hain iztirab-o-sukun
ki madd-o-jazr bane bahr-e-bekaran ke liye
huzur-e-qalb hai sarmaya-e-hayat-e-dawam
nafas hai KHizr mera umr-e-jawedan ke liye
meri namaz ko bahr-e-wuzu hai jam-e-tuhur
sala-e-saqi-e-kausar hai bas azan ke liye
hamare dil mein yaqin ko mili hai gunjaish
ki bas hai wusat-e-kaun-o-makan guman ke liye
chali jo sahil-e-umr-e-rawan se kashti-e-tan
nafas se kaam mashiyyat ne baadban ke liye
hua ye shoala-zabani se shama ki raushan
ki mom ho hama-tan aatishin bayan ke liye
meri nazar mein hai ism-o-sifat ki jalwagari
zaban-e-haal hai shahid mere bayan ke liye
kaha ye rahmat-e-bari ne hai ye haq se baid
ki waqf ho koi jalwa kisi makan ke liye
ayan ye husn-e-KHud-ara ki KHud-numai hai
ki nur-e-ain hai chashm-e-jahaniyan ke liye
farogh-e-ilm se raushan hai sham-e-bazm-e-suKHan
sala-e-am hai yaran-e-nukta-dan ke liye
baqa-e-zat mein hai ma-siwa fana 'sahir'
ye dil pe naqsh hai tawiz hirz-e-jaan ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.