makan se chal ke aai la-makan tak
makāñ se chal ke aa.ī lā-makāñ tak
mirī āvārgī pahuñchī kahāñ tak
na harf-e-ārzū aayā zabāñ tak
ki darmāñda koī chaltā kahāñ tak
cleaner se mudīr-e-pāsbāñ tak
kahāñ se chal ke aayā huuñ kahāñ tak
nazar aatā nahīñ tum sā jahāñ meñ
pahuñchtī hai nazar merī jahāñ tak
zamīñ se uTh khaḌā jo 'azm le kar
pahuñchtā hai vo zarra āsmāñ tak
jo mīr-e-kārvāñ samjhe the ḳhud ko
vahī pahuñche haiñ gard-e-kārvāñ tak
zabāñ dāñtoñ tale ham ne dabā lī
jo harf-e-ārzū aayā zabāñ tak
ḳhushī se jabr jābir aazmā leñ
mire lab par agar aa.ī fuġhāñ tak
na jaane kis jagah maiñ aa gayā huuñ
nahīñ miltā hai raste kā nishāñ tak
nashe meñ kar to lī hai maiñ ne tauba
na pahuñche baat ye pīr-e-muġhāñ tak
'amar' hai ye mohabbat yā tijārat
agar baat aa ga.ī sūd-o-ziyāñ tak
makan se chal ke aai la-makan tak
meri aawargi pahunchi kahan tak
na harf-e-arzu aaya zaban tak
ki darmanda koi chalta kahan tak
cleaner se mudir-e-pasban tak
kahan se chal ke aaya hun kahan tak
nazar aata nahin tum sa jahan mein
pahunchti hai nazar meri jahan tak
zamin se uTh khaDa jo 'azm le kar
pahunchta hai wo zarra aasman tak
jo mir-e-karwan samjhe the KHud ko
wahi pahunche hain gard-e-karwan tak
zaban danton tale hum ne daba li
jo harf-e-arzu aaya zaban tak
KHushi se jabr jabir aazma len
mere lab par agar aai fughan tak
na jaane kis jagah main aa gaya hun
nahin milta hai raste ka nishan tak
nashe mein kar to li hai main ne tauba
na pahunche baat ye pir-e-mughan tak
'amar' hai ye mohabbat ya tijarat
agar baat aa gai sud-o-ziyan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.