makan se dur kahin la-makan mein rahti hun
makāñ se duur kahīñ lā-makāñ meñ rahtī huuñ
zamīñ pe hote hue āsmāñ meñ rahtī huuñ
hai jis ke haath meñ ye bāg-Dor aalam kī
bahut sukūn se us kī amaañ meñ rahtī huuñ
ḳhabar jo lene chale ho ye hālat-e-dil hai
mujhe ḳhabar hī kahāñ kis jahāñ meñ rahtī huuñ
varaq varaq pe haiñ phaile hurūf-e-nā-bīnā
mohabbatoñ kī har ik dāstāñ meñ rahtī huuñ
husūl-e-ishq kī sab kāvisheñ haiñ lā-hāsil
maiñ dastaras se pare ik jahāñ meñ rahtī huuñ
har ik talab se huī be-niyāz-o-begāna
basā ke dil meñ use āstāñ meñ rahtī huuñ
safīr ban ke havāoñ kī duur tak jā.ūñ
maiñ musht-e-ḳhāk huuñ mauj-e-ravāñ meñ rahtī huuñ
makan se dur kahin la-makan mein rahti hun
zamin pe hote hue aasman mein rahti hun
hai jis ke hath mein ye bag-Dor aalam ki
bahut sukun se us ki aman mein rahti hun
KHabar jo lene chale ho ye haalat-e-dil hai
mujhe KHabar hi kahan kis jahan mein rahti hun
waraq waraq pe hain phaile huruf-e-na-bina
mohabbaton ki har ek dastan mein rahti hun
husul-e-ishq ki sab kawishen hain la-hasil
main dastaras se pare ek jahan mein rahti hun
har ek talab se hui be-niyaz-o-begana
basa ke dil mein use aastan mein rahti hun
safir ban ke hawaon ki dur tak jaun
main musht-e-KHak hun mauj-e-rawan mein rahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.