makan se la-makan tak aa gaya hun
makāñ se lā-makāñ tak aa gayā huuñ
ḳhayāloñ meñ kahāñ tak aa gayā huuñ
guzar kar maiñ zavāl-e-zindagī se
urūj-e-dāstāñ tak aa gayā huuñ
tire hoñToñ kī jumbish kah rahī hai
ki maiñ terī zabāñ tak aa gayā huuñ
vahāñ tak hai mirī ab hukmrānī
tire andar jahāñ tak aa gayā huuñ
guzarte vaqt meñ kuchh din Thahar kar
maiñ umr-e-jāvedāñ tak aa gayā huuñ
dar-o-dīvār tak vahshat-zada haiñ
haqīqat meñ gumāñ tak aa gayā huuñ
maiñ apne aap se milne kī ḳhātir
hujūm-e-dostāñ tak aa gayā huuñ
palaTnā ab kahāñ mumkin hai 'āsim'
maiñ ḳhatre ke nishāñ tak aa gayā huuñ
makan se la-makan tak aa gaya hun
KHayalon mein kahan tak aa gaya hun
guzar kar main zawal-e-zindagi se
uruj-e-dastan tak aa gaya hun
tere honTon ki jumbish kah rahi hai
ki main teri zaban tak aa gaya hun
wahan tak hai meri ab hukmrani
tere andar jahan tak aa gaya hun
guzarte waqt mein kuchh din Thahar kar
main umr-e-jawedan tak aa gaya hun
dar-o-diwar tak wahshat-zada hain
haqiqat mein guman tak aa gaya hun
main apne aap se milne ki KHatir
hujum-e-dostan tak aa gaya hun
palaTna ab kahan mumkin hai 'asim'
main KHatre ke nishan tak aa gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.