Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

makanon ke nagar mein hum agar kuchh ghar bana lete

Navin C. Chaturvedi

makanon ke nagar mein hum agar kuchh ghar bana lete

Navin C. Chaturvedi

MORE BYNavin C. Chaturvedi

    makānoñ ke nagar meñ ham agar kuchh ghar banā lete

    to apnī bastiyoñ ko sovarg se baḌh kar banā lete

    hameñ apne ilāqoñ se mohabbat ho nahīñ paa.ī

    vagarna zindagī ko aur bhī behtar banā lete

    samay se laḌ rahe the aur lamhe kar diye barbād

    hameñ karnā ye thā lamhāt lashkar banā lete

    ġhanīmat hai ki jangal ke usūloñ ko nahīñ maanā

    vagarna āshiyānoñ ko ajā.ib-ghar banā lete

    agar saudā karnā thā use to bol to detā

    mohabbat ke liye ham dil ko bhī daftar banā lete

    havas hairāñ na kar paatī talab tanhā na kar paatī

    agar ham hasratoñ ko pyaar sāgar banā lete

    kahīñ aisā jo ho paatā ki laḌte nahīñ ham tum

    bahut mumkin thā har kankar ko shīv-shañkar banā lete

    makanon ke nagar mein hum agar kuchh ghar bana lete

    to apni bastiyon ko sowarg se baDh kar bana lete

    hamein apne ilaqon se mohabbat ho nahin pai

    wagarna zindagi ko aur bhi behtar bana lete

    samay se laD rahe the aur lamhe kar diye barbaad

    hamein karna ye tha lamhat ka lashkar bana lete

    ghanimat hai ki jangal ke usulon ko nahin mana

    wagarna aashiyanon ko ajaib-ghar bana lete

    agar sauda hi karna tha use to bol to deta

    mohabbat ke liye hum dil ko bhi daftar bana lete

    hawas hairan na kar pati talab tanha na kar pati

    agar hum hasraton ko pyar ka sagar bana lete

    kahin aisa jo ho pata ki laDte hi nahin hum tum

    bahut mumkin tha har kankar ko shiw-shankar bana lete

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now