maKHmur-e-ada-e-saqi hai mahrum dil-e-nakaam nahin
maKHmur-e-ada-e-saqi hai mahrum dil-e-nakaam nahin
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
MORE BYAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
maḳhmūr-e-adā-e-sāqī hai mahrūm dil-e-nākām nahīñ
khiñch aa.ī hai mere sāġhar meñ vo mai jo rahīn-e-jām nahīñ
ai qadr-shanās-e-jins-e-girāñ bas ek nazar hai qīmat-e-dil
yuuñ muft luTā.e dete haiñ kuchh sūd-o-ziyāñ se kaam nahīñ
duniyā-e-chaman hai pesh-e-nazar phirtā hai samāñ āñkhoñ meñ vahī
ham laakh raheñ pāband-e-qafas kuchh dil to asīr-e-dām nahīñ
kyoñ daaġh lahū ke dhote ho kyoñ zīnat-e-dāman khote ho
bekār pareshāñ hote ho tum par to koī ilzām nahīñ
vo mahv-e-taġhāful suntā hai ham kahte haiñ dil kā afsāna
kuchh bāteñ haiñ bahkī bahkī sī āġhāz nahīñ anjām nahīñ
hai kis kā jigar ye dard sahe hai tīr-e-nazar kī taab kise
maḳhsūs hai mere dil ke liye ye lutf-e-ḳhalish kuchh aam nahīñ
yā ham hī nahīñ shāyān-e-jafā yā us ko nahīñ hai qadr-e-vafā
is bazm meñ 'kaifī' varna koī mahrūm nahīñ nākām nahīñ
maKHmur-e-ada-e-saqi hai mahrum dil-e-nakaam nahin
khinch aai hai mere saghar mein wo mai jo rahin-e-jam nahin
ai qadr-shanas-e-jins-e-giran bas ek nazar hai qimat-e-dil
yun muft luTae dete hain kuchh sud-o-ziyan se kaam nahin
duniya-e-chaman hai pesh-e-nazar phirta hai saman aankhon mein wahi
hum lakh rahen paband-e-qafas kuchh dil to asir-e-dam nahin
kyon dagh lahu ke dhote ho kyon zinat-e-daman khote ho
bekar pareshan hote ho tum par to koi ilzam nahin
wo mahw-e-taghaful sunta hai hum kahte hain dil ka afsana
kuchh baaten hain bahki bahki si aaghaz nahin anjam nahin
hai kis ka jigar ye dard sahe hai tir-e-nazar ki tab kise
maKHsus hai mere dil ke liye ye lutf-e-KHalish kuchh aam nahin
ya hum hi nahin shayan-e-jafa ya us ko nahin hai qadr-e-wafa
is bazm mein 'kaifi' warna koi mahrum nahin nakaam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.