makin hai KHana-e-dil mein wo la-makan ho kar
makin hai KHana-e-dil mein wo la-makan ho kar
Mohammad Ghulam Nurani
MORE BYMohammad Ghulam Nurani
makīñ hai ḳhāna-e-dil meñ vo lā-makāñ ho kar
nishāñ vo rakhtā hai har juz meñ be-nishāñ ho kar
kabhī vo phuul bane baaġh ke kabhī ḳhushbū
rahe 'ayāñ vo kabhī to kabhī nihāñ ho kar
kisī ne aah na kī aur sunī ga.ī us kī
mire ye ashk baraste rahe ravāñ ho kar
nahīñ yaqīn mujhe ab tumhārā ai qāsid
ḳhabar raqīb ko aayā hai aur haañ ho kar
nigāh-e-yār kā jaadū hai aur kuchh bhī nahīñ
ulajh paḌā huuñ maiñ saaqī se bad-gumāñ ho kar
tumhārī aañkh pe afsos kyoñ na ho 'jauhar'
use na dekh sakā us ke darmiyāñ ho kar
makin hai KHana-e-dil mein wo la-makan ho kar
nishan wo rakhta hai har juz mein be-nishan ho kar
kabhi wo phul bane bagh ke kabhi KHushbu
rahe 'ayan wo kabhi to kabhi nihan ho kar
kisi ne aah na ki aur suni gai us ki
mere ye ashk baraste rahe rawan ho kar
nahin yaqin mujhe ab tumhaara ai qasid
KHabar raqib ko aaya hai aur han ho kar
nigah-e-yar ka jadu hai aur kuchh bhi nahin
ulajh paDa hun main saqi se bad-guman ho kar
tumhaari aankh pe afsos kyon na ho 'jauhar'
use na dekh saka us ke darmiyan ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.