makin ke hote hue rabta makan se hua
makīñ ke hote hue rābta makāñ se huā
mukālima jo huā bhī to be-zabāñ se huā
maiñ us kī samt jo niklā to kuchh nahīñ thā vahāñ
vahīñ khaḌā thā ishāra mujhe jahāñ se huā
tumhāre baa'd badan meñ talāsh kartā huuñ
maiñ apne aap meñ ḳhālī kahāñ kahāñ se huā
maiñ apne qā’ede qānūn le ke aayā huuñ
vo nisf nisf nahīñ jo bhī darmiyāñ se huā
talāsh karte phire ham-safar 'uzair' mujhe
kuchh is tarah maiñ judā gard-e-kārvāñ se huā
makin ke hote hue rabta makan se hua
mukalima jo hua bhi to be-zaban se hua
main us ki samt jo nikla to kuchh nahin tha wahan
wahin khaDa tha ishaara mujhe jahan se hua
tumhaare ba'd badan mein talash karta hun
main apne aap mein KHali kahan kahan se hua
main apne qa’ede qanun le ke aaya hun
wo nisf nisf nahin jo bhi darmiyan se hua
talash karte phire ham-safar 'uzair' mujhe
kuchh is tarah main juda gard-e-karwan se hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.