Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

makin nahin the kahin bhi lekin nishan unche pahaD par the

Mehmood Rashid

makin nahin the kahin bhi lekin nishan unche pahaD par the

Mehmood Rashid

MORE BYMehmood Rashid

    makīñ nahīñ the kahīñ bhī lekin nishān ūñche pahāḌ par the

    vo log jaane kahāñ the jin ke makān ūñche pahāḌ par the

    safed kirneñ damak rahī thiiñ surīle jharnoñ ke pāniyoñ par

    nashīle mausam meñ daf bajāte javān ūñche pahāḌ par the

    qadīm logoñ dāstāñ har chaTān mujh ko sunā rahī thī

    purānī rāhoñ meñ kuchh fasurda jahān ūñche pahāḌ par the

    kisī parinde talak rasā.ī nahīñ thī merī fuġhāñ shāyad

    maiñ pastiyoñ meñ thā aur mire ham-zabān ūñche pahāḌ par the

    badal ga.ī thī fazā magar dil usī taḳhayyul qaid meñ thā

    vahī tavahhum the shahr meñ jo gumān ūñche pahāḌ par the

    tamām duniyā ye kah rahī thī unheñ ufuq se lagan thī 'rāshid'

    kisī parī ke surāġh meñ jo har aan ūñche pahāḌ par the

    makin nahin the kahin bhi lekin nishan unche pahaD par the

    wo log jaane kahan the jin ke makan unche pahaD par the

    safed kirnen damak rahi thin surile jharnon ke paniyon par

    nashile mausam mein daf bajate jawan unche pahaD par the

    qadim logon ki dastan har chaTan mujh ko suna rahi thi

    purani rahon mein kuchh fasurda jahan unche pahaD par the

    kisi parinde talak rasai nahin thi meri fughan ki shayad

    main pastiyon mein tha aur mere ham-zaban unche pahaD par the

    badal gai thi faza magar dil usi taKHayyul ki qaid mein tha

    wahi tawahhum the shahr mein jo guman unche pahaD par the

    tamam duniya ye kah rahi thi unhen ufuq se lagan thi 'rashid'

    kisi pari ke suragh mein jo har aan unche pahaD par the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now