malal sar pe qayamat uThane lagta hai
malāl sar pe qayāmat uThāne lagtā hai
vo uTh ke jab mire pahlū se jaane lagtā hai
vo dard hai ki mudāvā nahīñ koī jis kā
vo vaqt hai ki ḳhudā yaad aane lagtā hai
gudāz dil hai tabī'at hai shabnamī us kī
zarā sī baat par aañsū bahāne lagtā hai
vahī ghaḌī hai use dekhne ke laa.iq jab
hatheliyoñ meñ vo chehra chhupāne lagtā hai
isī liye to koī us kā ham-jalīs nahīñ
har ek shaḳhs ko vo āzmāne lagtā hai
isī liye to añdherā hai us kī duniyā meñ
charāġh tez havā meñ jalāne lagtā hai
kahīñ ḳhulūs na paayā isī liye shāyad
mire ḳhulūs kī qīmat lagāne lagtā hai
vahāñ pahuñch ke qadam aur jam ga.e mere
jahāñ pahuñch ke qadam Dagmagāne lagtā hai
vafā ḳhulūs kī tā'līm kaun de 'irfān'
zarā sī 'umr meñ bachcha kamāne lagtā hai
malal sar pe qayamat uThane lagta hai
wo uTh ke jab mere pahlu se jaane lagta hai
wo dard hai ki mudawa nahin koi jis ka
wo waqt hai ki KHuda yaad aane lagta hai
gudaz dil hai tabi'at hai shabnami us ki
zara si baat par aansu bahane lagta hai
wahi ghaDi hai use dekhne ke laiq jab
hatheliyon mein wo chehra chhupane lagta hai
isi liye to koi us ka ham-jalis nahin
har ek shaKHs ko wo aazmane lagta hai
isi liye to andhera hai us ki duniya mein
charagh tez hawa mein jalane lagta hai
kahin KHulus na paya isi liye shayad
mere KHulus ki qimat lagane lagta hai
wahan pahunch ke qadam aur jam gae mere
jahan pahunch ke qadam Dagmagane lagta hai
wafa KHulus ki ta'lim kaun de 'irfan'
zara si 'umr mein bachcha kamane lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.