malal teri qasam aaj kuchh ziyaada hai
malāl terī qasam aaj kuchh ziyāda hai
tujhe gañvāne kā ġham aaj kuchh ziyāda hai
tujhe maiñ kho bhī chukā phir bhī tujh ko paane kī aas
ye kal talak to thī kam aaj kuchh ziyāda hai
mirī to roz kī aadat hai par mujhe dukh hai
ki terī aañkh bhī nam aaj kuchh ziyāda hai
kuchh aaj kal se sivā-tar hai shab kī tārīkī
phir us kī zulf bhī ḳham aaj kuchh ziyāda hai
maiñ dushmanoñ ke bhī haq meñ duā.eñ karne lagā
ki dostoñ kā karam aaj kuchh ziyāda hai
malal teri qasam aaj kuchh ziyaada hai
tujhe ganwane ka gham aaj kuchh ziyaada hai
tujhe main kho bhi chuka phir bhi tujh ko pane ki aas
ye kal talak to thi kam aaj kuchh ziyaada hai
meri to roz ki aadat hai par mujhe dukh hai
ki teri aankh bhi nam aaj kuchh ziyaada hai
kuchh aaj kal se siwa-tar hai shab ki tariki
phir us ki zulf bhi KHam aaj kuchh ziyaada hai
main dushmanon ke bhi haq mein duaen karne laga
ki doston ka karam aaj kuchh ziyaada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.