malal ye hai masail ka hal banate hue
malāl ye hai masā.il kā hal banāte hue
gañvā ke baiTh ga.e aaj kal banāte hue
ghise-piTe hue lahjoñ meñ kuchh nahīñ rakkhā
nayā hī rañg nikālo ġhazal banāte hue
ba-zāhir ek hī pal meñ badal gayā sab kuchh
ka.ī zamāne lage ek pal banāte hue
kahāñ se DhūñD ke lāoge ab mire jaisā
ḳhayāl karte mujhe be-badal banāte hue
ajiib sho.ala-e-ehsās kī lapeT meñ haiñ
jhulaste jaate haiñ kāġhaz pe thal banāte hue
ye regzār ye andhī havā ye phuul sī jaan
bikhar chalā huuñ irāde aTal banāte hue
lahū meñ lahr uThātī hai us kī yaad to kyā
safīne chalte haiñ dariyā meñ chhal banāte hue
patā hai kitnī mashaqqat uThānī paḌtī hai
kisī ḳhayāl ko zarbul-masal banāte hue
malal ye hai masail ka hal banate hue
ganwa ke baiTh gae aaj kal banate hue
ghise-piTe hue lahjon mein kuchh nahin rakkha
naya hi rang nikalo ghazal banate hue
ba-zahir ek hi pal mein badal gaya sab kuchh
kai zamane lage ek pal banate hue
kahan se DhunD ke laoge ab mere jaisa
KHayal karte mujhe be-badal banate hue
ajib shoala-e-ehsas ki lapeT mein hain
jhulaste jate hain kaghaz pe thal banate hue
ye regzar ye andhi hawa ye phul si jaan
bikhar chala hun irade aTal banate hue
lahu mein lahr uThati hai us ki yaad to kya
safine chalte hain dariya mein chhal banate hue
pata hai kitni mashaqqat uThani paDti hai
kisi KHayal ko zarbul-masal banate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.