malamat ka hadaf aaKHir mera tarz-e-bayan kyon ho
malāmat kā hadaf āḳhir mirā tarz-e-bayāñ kyoñ ho
tirī mashq-e-sitam ko bas mirī urdu zabāñ kyoñ ho
piyeñ jab mai to lutf-e-mai meñ kuchh jiddat bhī lāzim hai
vahī saaqī vahī miinā vahī pīr-e-muġhāñ kyoñ ho
koī rahbar nahīñ miltā koī rahzan hī mil jaa.e
hamesha ham-safar āḳhir ye gard-e-kārvāñ kyoñ ho
kisī se kuchh nahīñ kahtā to dīvāne ko mat chheḌo
ki dīvāna to dīvāna hai us se sargirāñ kyoñ ho
chale haiñ shaiḳh masjid ko magar mai-kash kahāñ jaa.eñ
jo mai-ḳhāna nahīñ khultā phir āḳhir ye azaañ kyoñ ho
ye duniyā ek zindāñ hai Thikāna lā-makāñ terā
yahāñ har samt dīvāreñ yahāñ merā makāñ kyoñ ho
kise fursat hamāre baad ham ko yaad rakhne kī
sirhāne qabr par apnī koī sang-e-nishāñ kyoñ ho
maiñ tere paas jab aa.uuñ to le lenā hisāb apnā
magar duniyā meñ har lamha ye vaa.iz kā bayāñ kyoñ ho
qafas meñ aatī rahtī hai safīr-e-gul sabā ham tak
to gulshan se bichhaḌne par yahāñ āh-o-fuġhāñ kyoñ ho
malamat ka hadaf aaKHir mera tarz-e-bayan kyon ho
teri mashq-e-sitam ko bas meri urdu zaban kyon ho
piyen jab mai to lutf-e-mai mein kuchh jiddat bhi lazim hai
wahi saqi wahi mina wahi pir-e-mughan kyon ho
koi rahbar nahin milta koi rahzan hi mil jae
hamesha ham-safar aaKHir ye gard-e-karwan kyon ho
kisi se kuchh nahin kahta to diwane ko mat chheDo
ki diwana to diwana hai us se sargiran kyon ho
chale hain shaiKH masjid ko magar mai-kash kahan jaen
jo mai-KHana nahin khulta phir aaKHir ye azan kyon ho
ye duniya ek zindan hai Thikana la-makan tera
yahan har samt diwaren yahan mera makan kyon ho
kise fursat hamare baad hum ko yaad rakhne ki
sirhane qabr par apni koi sang-e-nishan kyon ho
main tere pas jab aaun to le lena hisab apna
magar duniya mein har lamha ye waiz ka bayan kyon ho
qafas mein aati rahti hai safir-e-gul saba hum tak
to gulshan se bichhaDne par yahan aah-o-fughan kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.