mallah KHuda jaane kidhar dekh rahe hain
mallāh ḳhudā jaane kidhar dekh rahe haiñ
ham sāmne kashtī ke bhañvar dekh rahe haiñ
aatā to yaqīn un ko vafāoñ kā hamārī
vo apnī jafāoñ ko magar dekh rahe haiñ
zindāñ kī salāḳhoñ se asīrān-e-balā bhī
ahvāl-e-sar-e-rāhguzar dekh rahe haiñ
kab zulm-o-sitam ham ne na dekhā tire hāthoñ
haañ aaj ba-andāz-e-digar dekh rahe haiñ
allah re phaban surḳhī-e-ḳhūn-e-shohadā kī
ham tujh pe do-ālam kī nazar dekh rahe haiñ
maarā kise ai vaa.e tirī ḳhū-e-jafā ne
mayyat pe tujhe ḳhāk-basar dekh rahe haiñ
ai kisht-e-vafā ab to harī ho ki tujhe ham
ḳhūñ-nāb dil-e-ḳhasta se tar dekh rahe haiñ
barg-o-gul-e-afsurda haiñ ai bād-e-ḳhizānī
ham tāb-o-tab-e-barq-o-sharar dekh rahe haiñ
ḳhāmosh jo baiThe haiñ sar-e-shām se 'mohsin'
niiñd aa ga.ī yā rāh-e-sahar dekh rahe haiñ
mallah KHuda jaane kidhar dekh rahe hain
hum samne kashti ke bhanwar dekh rahe hain
aata to yaqin un ko wafaon ka hamari
wo apni jafaon ko magar dekh rahe hain
zindan ki salaKHon se asiran-e-bala bhi
ahwal-e-sar-e-rahguzar dekh rahe hain
kab zulm-o-sitam hum ne na dekha tere hathon
han aaj ba-andaz-e-digar dekh rahe hain
allah re phaban surKHi-e-KHun-e-shohada ki
hum tujh pe do-alam ki nazar dekh rahe hain
mara kise ai wae teri KHu-e-jafa ne
mayyat pe tujhe KHak-basar dekh rahe hain
ai kisht-e-wafa ab to hari ho ki tujhe hum
KHun-nab dil-e-KHasta se tar dekh rahe hain
barg-o-gul-e-afsurda hain ai baad-e-KHizani
hum tab-o-tab-e-barq-o-sharar dekh rahe hain
KHamosh jo baiThe hain sar-e-sham se 'mohsin'
nind aa gai ya rah-e-sahar dekh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.