mamta-bhari aawaz sunane nahin aate
mamtā-bharī āvāz sunāne nahīñ aate
ḳhvāboñ meñ bhī bachpan ke zamāne nahīñ aate
ham vaqt pe dete haiñ savāloñ ke javābāt
be-vaqt hameñ Dhol bajāne nahīñ aate
ehsās kī daulat se navāzā gayā jab se
āñkhoñ meñ mirī ḳhvāb suhāne nahīñ aate
un se na milātā hameñ ehsās anā kā
ḳhud hī vo agar haath milāne nahīñ aate
ham gardish-e-aflāk kā karte haiñ tadāruk
palkoñ pe hameñ ashk sajāne nahīñ aate
ai vaqt kī raftār Thahar aur hameñ dekh
ham dahr meñ sar apnā khapāne nahīñ aate
jin ke liye maḳhsūs huā lafz vafā kā
vāpas lab-e-dariyā se vo shāne nahīñ aate
ham jazba-e-tā’mīr se rakhte haiñ ta'alluq
bantī huī dīvār girāne nahīñ aate
itnā to na TuuTā thā 'atīq' un se ta'alluq
kyoñ yaad mujhe yaar purāne nahīñ aate
mamta-bhari aawaz sunane nahin aate
KHwabon mein bhi bachpan ke zamane nahin aate
hum waqt pe dete hain sawalon ke jawabaat
be-waqt hamein Dhol bajaane nahin aate
ehsas ki daulat se nawaza gaya jab se
aankhon mein meri KHwab suhane nahin aate
un se na milata hamein ehsas ana ka
KHud hi wo agar hath milane nahin aate
hum gardish-e-aflak ka karte hain tadaruk
palkon pe hamein ashk sajaane nahin aate
ai waqt ki raftar Thahar aur hamein dekh
hum dahr mein sar apna khapane nahin aate
jin ke liye maKHsus hua lafz wafa ka
wapas lab-e-dariya se wo shane nahin aate
hum jazba-e-ta’mir se rakhte hain ta'alluq
banti hui diwar girane nahin aate
itna to na TuTa tha 'atiq' un se ta'alluq
kyon yaad mujhe yar purane nahin aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.