man bhi shair ki tarah tan bhi ghazal jaisa hai
man bhī shā.ir kī tarah tan bhī ġhazal jaisā hai
ye tire ruup kā darpan bhī ġhazal jaisā hai
reshmī chūḌiyāñ aisī ki ġhazal ke misre
ye khanaktā huā kañgan bhī ġhazal jaisā hai
in lachaktī huī zulfoñ meñ hai gokul kā samāñ
ye mahaktā huā sāvan bhī ġhazal jaisā hai
log-gītoñ kī tarah tū bhī rasīlī hai magar
merī sajnī tirā sājan bhī ġhazal jaisā hai
mere jazbāt kī shoḳhī bhī ġhazal jaisī hai
mere ehsās kā bachpan bhī ġhazal jaisā hai
dekh kar tujh ko ġhazal kaise na likkhe 'qaisar'
tū ġhazal jaisī hai yauvan bhī ġhazal jaisā hai
man bhi shair ki tarah tan bhi ghazal jaisa hai
ye tere rup ka darpan bhi ghazal jaisa hai
reshmi chuDiyan aisi ki ghazal ke misre
ye khanakta hua kangan bhi ghazal jaisa hai
in lachakti hui zulfon mein hai gokul ka saman
ye mahakta hua sawan bhi ghazal jaisa hai
log-giton ki tarah tu bhi rasili hai magar
meri sajni tera sajan bhi ghazal jaisa hai
mere jazbaat ki shoKHi bhi ghazal jaisi hai
mere ehsas ka bachpan bhi ghazal jaisa hai
dekh kar tujh ko ghazal kaise na likkhe 'qaisar'
tu ghazal jaisi hai yauwan bhi ghazal jaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.